blog par organic traffic kis tarike se laya jata hai


                   blog par organic traffic kis tarike se laya jata hai

Dosto ap meri ye post read krke (free mein blogger se professional website ya blog kaise banaye full detail in hindi ) samajh gaye honge ki new blog ko create kaise karte hain. Aaj hum aapko batayenge ki blog par organic traffic kis tarike se laya jata hai. Dosto apme se bahut se bloggers ko search engine say blog par natural organic traffic obtain krne mein bohot si problems aati hongi. Blog par traffic ka main reason visitor hi hote hain , organic traffic se mera meaning ye hai ki jitne jyada visitor's aapke website par honge utna hi traffic aap ki website par hoga. website par traffic pana sabse mushkil task mein se ek hai.
Doston agar apke blog par organic traffic kam hai toh apki earning bhi kam hi hogi.In short earning depends on your traffic. Dosto agar aap apne blog par regular rahenge to aap ke visitors be increase honge nahi toh yeh day to day decrease hote Jayenge.Agar sach me ap apne blog par organic traffic increase krna chahte hai toh meri post ko starting se lekar end tak read kre.

how to increase organic traffic in website ??
use content of high quality
    Apko content is tarah se likhna hai ki apke users ko bina kisi problem ke sab kuch samajh mein aa jaye, Aur content visitors ke liye likhiye naa ki google ke liye. agar aap ka content achha hoga to aap Ko kuch jyada mehnat Karne Ki Zaroorat Nahi hogi, google apne ap hi apke blog ko ek acha rank dega aur organic traffic bhi.
    Make a professional look to your blog
      Apne blog ko professional banane ke liye aapko unn themes ka use karna hoga Jinka size kam ho(less in mb's) aur theme loading speed fast ho. Theme responsive bhi honi chahiye, aur Seo optimised bhi responsive se mera meaning yeh hai ki visitors kisi bhi device se apke blog par asani se visit kar sake.Ek responsive theme or template bhi blog ki traffic badhane me achi saabit hoti hai
        Also read

                  Use long tail keywords
                  • Doston long tail keywords aapko Google adwords mein mil jayenge. wahan aap ko apne keyword ki cpc ka bhi pata chal jayega aur aap apne blog main Unka use bhi kar sakte hain. keywords ke liye aap kisi paid website ya app ka Use bhi kar sakte hain. Google Adword keywords ke liye bilkul free hai. Google Adword mai aapko keyword ka competition bhi pata chal jayega aur ap asani se use kr sakte hai . Aap google Chrome me keyword everywhere extension ko install karke add kar sakte hain iska fayda Yeh hoga Ki aap chrome me jis bhi keyword ko search Karenge apko uski search aur CPC Ka Pata aasani se chal jayega.google adwords me jaakar apko adwords tool me Jaana hoga aur uske baad planning option par click karna hoga.click karte hi apke samne keyword planner ka option open ho jayega.uss par click karke ap apna keyword find kr sakte hai.
                  create contacts on social media

                  Dosto aap apne blog ki post Ko social media sites par share bhi kar sakte hain. iske liye sabse pehle aap ko social media jaise whatsapp , facebook , instagram twitter etc  par apne friends banane honge aur regular apni blog post ko publish karna hoga jisse ki aapke friends apki blog post ko pade aur comments bhi kare.
                  internal and external link ka use kare
                  • apni new blog post mein apni previous post ka link Zaroor add kare aur agar aap ek Se Jyada blog ko manage kr rahe hai toh unka link bhi apni new post mein add kar dijiye.
                  avoid negative keywords
                  • Mere Dosto Hamesha negative keywords ko ignore kare, negative keywords Kuch Iss Tarah Ke hote hai.example-sarch,tachnology etc.Negative keyword se ap ye samaj Sakte hai ki kisi word me spelling mistake ka ho Jaana.
                  highlight your keywords
                  • Apne keywords ko highlight kare bold italics aur underline option ka use Karke. highlight karne se blog ka Seo bhi improve hota hai.
                  keyword density
                  • Apne blog post ke keywords ki density 1.5 se 2.0 Tak hi rakhiye kyunki isse Jyada rakhne par search engine se aapko penalty bhi mil sakti hai.
                  Use guest posting
                  • Most popular blogs par comment kare . Isse other blog ki organic traffic apki blog post par aayegi.
                  always use attractive photos
                  • Apne blog par aisi photos ka use kare jisse visitors aap ke blog ki taraf khinche Chale aaye.
                  generate lengthy articles
                  • Apne blog Mein kam se kam 1000 se 2000 words ka use kare. Aisa karne par aap ke blog ko search engine mein acchi ranking ke saath saath acchi traffic bhi  milti hai.
                  use Google trend
                  • Google trend me Jane Ke bad apko ye pta chalega ki trending topic konsa search kiya ja raha hai.
                  submit your post to Google Webmaster
                  • finally aap apni blog post ko Google Webmaster mein submit Karva kar unlimited traffic Prapt kar sakte hain. Doston Mujhe Umeed hai ki Mera Ye article padh kar aap samajh Gaye honge ki blog par organic traffic kis tarike se laya jata hai. aap apni website ki traffic ko bada kar achi income generate kar sakte hain. My friends I wish you all the best.

                  टिप्पणियाँ

                  एक टिप्पणी भेजें

                  If you have any query please let me know

                  इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

                  Blogger blogspot post ka seo kaise kare(super secret trick)

                  कैसे हटाए google adsense Ad serving limit placed on your account

                  Instagram kaise banayega apko malamaal