Saturday, April 6, 2019

Janiye EVM(electronic voting machine) aur uske kaam karne ke tarike ko


Dosto aap sab ne EVM(electronic voting machine) ke bare me to suna hi hoga. Vote to ap sabhi dete hi honge aur apko yeh bhi pta hoga ki vote dene ke liye apki minimum age 18 honi chahiye. Vote dete samay apne EVM ka use to kiya hi hoga to chaliye jaante hai.
EVM kya hai ? kaise kaam krti hai ?
EVM  ka  avishkaar  kisne kiya ?
India ki kis state ne Sabse pehle EVM ka use kiya ?
Kya electronic voting machine hack ho sakti hai ?
Dosto in sab questions ke answer apko mera ye article padkar mil sakte hai , aur  iss article mei hum   electronic voting machine ke kaam karne ke tarike ko bhi vistaar se jaanege. Ap sab ko yaad hoga ki aaj se kuch dino baad 2019 Loksabha elections hai , jiska bahut se voters aur political parties  bhi  hissa banne Jaa rahe hai aur aise me apka ek kimti vote   apko   ek    acchi  aur mazboot   sarkar banane  me  help  karega. Iss saal election commission of India (ECI) ne latest technology ki voting machine ka use karne ke bare me socha hai.

History of EVM

Friends kuch years pehle India ki population itni zada nhi thi  aur jb hum vote dene jaaya karte  the to hamre vote pages par liye jaate the aur unhe result se kuch dino pehle count kiya jaata tha taki hume winner ka pta chal sake but aaj population itni zada ho gayi hai ki pages par vote count karna possible nhi hai, isi karan electronic voting machine banayi gayi taki iss lengthy process ko roka jaa sake aur hamare papers bhi save ho jaaye. EVM ki full form electronic voting machine hai.

EVM ka avishkaar 1980 mei M.B Haneefa ne kiya tha. EVM machine ka sabse pehle use  India ki Kerela state ke polling booth mei hua aur uske baad iska experiment Delhi , Madhya pradesh , Rajasthan mei bhi kiya gaya. In the year 1999  Goa general elections mei bhi evm ka use kiya gaya. Election commission of India ne year 2004 se isse elections mei use karne ka decision liya. India mei ye machines Bangalore ki BEL (Bharat electronics limited) aur Hyderabad ki ECIL (electronics corporation of India limited).

Janiye EVM(electronic voting machine) aur uske kaam karne ke tarike ko



Janiye EVM electronic voting machine aur uske kaam karne ke tarike ko

Dosto EVM ek aisi machine hai jisme ap apna kimti vote apni marzi se kisi bhi political party ke candidate ko de sakte ho. Iss machine ke right side mei apko sabhi political parties ke symbols aur unke representative  dikhayi denge aur un sabhi symbols ke saath hi apko buttons bhi mil jayenge.Inhi buttons ki help se ap kisi bhi political party ke representative ko vote de sakte hai. Dosto agar aap kisi Ko bhi vote nhi dena chahte to aap NOTA(none of the above)button bhi press kr sakte hai. EVM mei do units hote hai

1 control unit
2 Balloting unit Control

Balloting unit Control unit aur balloting unit aapas me ek 5m wire se connect hote hai. Isme koi bhi wireless communication nhi hota hai. Jab bhi koi voter apna vote dene ke liye button ko press karta hai to uss samay machine beep ki awaz karti hai aur apka vote count ho jaata hai. Issi ke saath machine apne aap ko lock bhi kr leti hai. Agar aap dusre kisi representative ko vote daalne ki try karoge to aap usse vote  daal nhi  paoge kyunki har naye vote par EVM new ballot number ki demand krti hai. Iska simple sa meaning hai ki ek person ek samay mei ek hi vote de sakta hai. Ye machine one person one vote ke principal par kaam krti hai.

EVM ki control unit booth presiding officer/ polling officer ke pass hoti hai . Ye uss ballot markd button ko control karte hai. Ek baar vote dene par ve uss control unit ke close button ko press kar dete hai aur evm lock ho jaata hai. Balloting section ko control unit se separate kr diya jaata hai aur votes ko record kr diya jaata hai balloting unit ki help se. Jab polling ka process pure tarike se khatam ho jaata hai to presiding officer polling agents ko votes ki  account details deta hai aur usi ke basis par votes counting kari jaati hai.

In case polling agent se koi bhi galti ho jaati hai to usse vo presiding officer ko bta deta hai. Vaise evm par ek result button bhi hota hai jise result direct  dekha Jaa sakta hai pr iss button ko hide karke rakha jaata hai aur iss button ko press karne se pehle polling booth ke close button ko press kiya jaata hai. Iss tarah se voting ka "the end" kiya jaata hai.Result button ko result se kuch dino pehle press kiya jaata hai vo bhi sabhi  government officers ke samne. So friends iss tarah counting ka pura process khatam hota hai aur last mei winner declare kiya jaata hai.

Features of EVM

1 EVM mei delete option ya delete button nhi hota.

2 EVM ke microprocessor ko sirf ek baar hi program kiya jaata hai. Jab isme sabhi votes record ho jaate hai to iske data ko edit nhi kiya Jaa sakta aur naa hi iske data mei koi changes laayi Jaa sakti hai.

3 EVM ki capacity ke anusaar ek machine mei 3840 votes hi record kiye Jaa sakte hai. Ek machine minimum 16 aur maximum 64 voters ko handle kr sakti hai. 64 voters se zada hone par polling ke liye conventional ballot paper/ box method ka bhi use kiya jaata hai. iss method mei maximum 4 EVM ko parellel mei connect Kiya jaata hai.

4 Evm battery dwara operate hoti hai isliye isse remote area mei bhi le jakar use kiya jaa sakte hai.

Kya EVM hack ho sakti hai ?

Agar mei iss sawal ka jawab du to evm hack hona naa ke brabar hai kyonki iss machine ki security ka government aur isse banane wali companies iska Vishesh roop se dyan rakhti hai.

VVPT kya hai ?

VVPT ki full form hai voter verified paper audit trail . Dosto ye ek machine hai jo saal 2019 me EVM ke saath connect kari jayegi taki apko ek slip as a proof mil sake jo apko apke vote ki jaankari degi.  Iss saal  VVPT ka use karna ek healthy voting saabit hoga.

Conclusion

Dosto apko meri ye post (Janiye EVM (electronic voting machine) aur uske kaam karne ke tarike ko) kaisi lagi mujhe comment karke btana zaroor aur agar apke pass evm se related koi bhi news hai to muje bhi bataye.Agar apko mera article pasand aaya ho to isse apne friends ya relatives ke saath share zaroor kare.
 Thank you..

2 comments:

  1. Woori Casino: 100% Welcome Bonus 100% Welcome Bonus
    Woori Casino 실시간 바카라 is a popular online 더킹 카지노 조작 casino that you can choose to use your funds from. 우리 카지노 계열사 The company is 우리 계열 더킹 카지노 open 24 hours a day. 더킹 카지노 회원 가입 Woori

    ReplyDelete

If you have any query please let me know