Google Adsense Kya Hai Aur Work Kaise Karta Hai


Hello friends 'the real world' mei ap  sab  ka  swagat  hai.  Aaj hum apko iss article mei batayenge ki Google  Adsense  Kya    Hai   Aur Work  Kaise  Karta Hai ? Humne apko apni previous post mei bataya ki google adsence account ko kam samay mei approved kaise karwaye. Friends Jahan online paise kamane ki baat aati hai waha google adsense ka naam sabse pehle liya jaata hai. Friends meri ye post padhkar aap adsence se online bahut saara  paisa  kama  sakte  hai.

Google AdSense kya hai?


Google Adsense Kya Hai Aur Work Kaise Karta Hai

Google adsence ek advertisement network  hai  jiski  help  se bloggers aur youtubers online paisa kama sakte hai. Friends maine apni sabhi blog post mei google adsence ki help se hi ads lagayi hai. Ap meri iss post ke saath saath dusri posts bhi dekh sakte hai, apko google ke dwara di gayi ads dikgayi degi.  Vaise toh internet mei apko paisa kamane ke liye bahut saare ad networks aur websites mil jayengi par google adsense sabse famous and trusted advertising network hai.

Google Adsense work kaise karta hai?

Google Adsense google ke dwara banaya gaya ad network hai. Google ko bahut saari companies apne products ki promotion ke liye paisa deti hai aur google un companies ke  product  ki  ad banakar blog, websites aur youtube par dikhata hai jisse bloggers aur youtubers ki earning hoti hai.

Google Adsense Mei Account Kaise Banaye?

Google Adsense mei apko account banane ke liye sabse pehle gmail me account banana hoga.kyonki adsence google ka product hai isliye ye gmail se hi chalega. Dusre kisi aur search engine ke domain se nhi chalega.

Google Adsense Se Paisa Kaise Kamaye?

Google Adsense se earning karne ke liye sabse se pehle apko apni website ya blog  ko  google adsense se connect karna hoga, uske baad hi ap isse paisa kama sakte hai. Adsence account mei paisa kisi visitor dwara apki website ki ad par click karne par hi aata hai.Yaad rahe adsence se connect karne se pehle apke blog or website par good organic traffic hona chahiye aur 25-40 articles hone chahiye. Google Adsense  apke website or blog  ko verify karne ke baad hi apko approval dega, approval mei apko minimum one week aur maximum six months bhi lag sakte hai, ye apke blog aur uske content par depend karega.

Google Adsense payment kaise send karta hai?

Friends ap sab soch rahe honge ki apko adsence se payment kitne samay baad mileygi. Apke google adsense account mei dollor 10 hone par apke address par google 'address verification' ke liye ek letter send karta hai jisme apko ek 6 digit pin code diya jaata hai aur iss pin code ko apko apne adsence account me enter karna hota hai. Yaad rahe without address verification ke google payment send nhi karta isliye address ko verify karna ek important step hai.Jab apke account mei dollor 100 ho jaaye to google cheque dwara ya apke bank account mei online payment send kr deta hai. Apke adsence account mei dollor 100 se kam payment hone pr google apko kisi bhi prakar ki koi payment send nhi karega. Google adsense apki payment ka kuch percent apne pass bhi rakhta hai.

Google Adsense Par Account Kitne Paise Mei Create Hota Hai

Friends google adsense par account free mei banaya jaata hai, iske liye sirf apke pass ek blog or website ka hona zarori hai.

Conclusion
Friends I hope apko Google Adsense Kya Hai Aur Work Kaise Karta Hai ? ache se samaj mei aa gya hoga.Kyonki adsence ek bahut bada advertising network hai isliye maine apko google adsence ke baare me short mei hi bataya hai.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Blogger blogspot post ka seo kaise kare(super secret trick)

कैसे हटाए google adsense Ad serving limit placed on your account

Instagram kaise banayega apko malamaal