Visa card kya hai ? Visa ki types ? Visa apply kaise kare ?

Friends travelling kise nhi pasand aur agar apko kisi dusri country mei jaane ka offer mile to aap haan kehte bilkul bhi der nhi karenge. Par kya apko pta hai ki hum dusri country mei tabhi Jaa sakte hai jab hamare pass visa aur passport dono honge. Passport to hum aasani se bana sakte hai kyonki passport hume apni country se banana padta hai par visa banane mei hume thoda zada hard work karna padta hai . Friends mera ye article visa kya hai ? Visa ki types ? Visa apply kaise kare ? ko read karke aap visa's ki types se puri tarah se parichit ho jayenge.

Lekin aisi bahut saari countries hai Jahan aap bina visa ke bhi Jaa sakte hai par bina passport ke nhi Jaa sakte, kyonki passport apni country ke citizen ko diya jaata hai taki vo international travel kar sake aur apna passport ( as a identification ) dusre desh mei dikha sake , aur visa ek permission hoti hai jo dusri country apko apni country mei entry hone ki permission deti hai . Vaise toh visa ek document (letter) ya phir passport par lagi stamp bhi ho sakta hai par zadatar hum isse stamp ke roop mei hi dekhte hai. Visa hamesha dusra desh issue karta hai.

Visa card kya hai ?

              Visa card kya hai Visa ki types Visa apply kaise kare

Visa ki full form hai

V- visitors
I -international
S- stay
A-admission

Visa ek temporary document hai jo apko kisi dusre desh jaane ki permission deta hai Apko kisi dusre desh mei jaane ke liye. reason batana hota hai ki aap kis reason se dusri country mei Jaa rahe hai usi ke aadhar par apko visa milta hai. Apko apke reason ke basis par hi visa milta hai. Ek visa sirf ek hi person ke liye hota hai. On the basis of your reason visa different types ke hote hai. Ye aap par depend karta hai ki aap kitne time tak kisi dusre desh me reh sakte hai . Visa kuch time ke baad expire bhi ho jaata hai , usse renew bhi karwana padta hai . Maan lijiye apka visa 6 months ka hai aur apko 6 months se zada ho gaya hai to apko usse renew karwana padega , jitne time ke liye aap chahte hai.

Visa ki types ?

Visa 2 types ke hote hai

1   Non immigrant visa - means Temporary visa

2  Immigrant visa - means permanent visa vaise to visa total 185 types ke hote hai aur unme se kuch immigrant aur kuch non immigrant visa  hote hai. Par mei yahan apke saath kuch important types hi discuss karunga.


1 Transit visa
2 Tourist visa
3 Business visa
4 On- arrival visa
5 Partner visa
6 Working visa
7 Diplomatic visa
8 Journalist visa
9 Marriage visa
10 Immigrant visa

1> Transit visa - In this type of visa agar aapko kuch hours ke liye kisi dusri country mei Jaana hai to apko iss visa ki zarurat padegi . Ye visa sirf 72 hours ke liye hi valid hota hai aur apko iss visa ke liye apply karte samay return ticket bhi dikhani padti hai .

2> Tourist Visa - Agar aap tourist visa se kisi country mei enter hote hai to aap  uss country mei sirf ghoom- phir sakte hai aur koi bhi kaam nahi kar sakte .

3> Business Visa - Business word se hi aap samaj gaye honge ki ye visa kis kaam aata hai . Jee haan ye visa kisi dusri country mei business karne ke kaam aata hai. Iss visa ki validity 6 months to 10 years tak hoti hai. Iss vis mei permanent job bhi include ho sakti hai aur permanent job ke liye apko work visa bhi lena padta hai . Business visa apply karne se pehle apko business  documents bhi show karwane padte hai .

4> Student Visa - With the help of this visa ap kisi dusri country mei jakar higher studies kr sakte hai.

5> Diplomatic Visa - Ye visa sirf government work ke liye diplomatic persons ko hi diya jaata hai for example ministers , Ias officers , defence officials etc.

6> Marriage Visa - Agar ap kisi foreign girl se marriage karna chahte hai , to apko usse apni country mei bulane ke liye,apni country ki embassy mei jakar apki country ke visa ke liye apply karna hoga. For example marriage of Nick Jonas and Priyanka Chopra. I hope ap samaj hi gye honge .


7> Journalist visa - Ye visa sirf media persons aur journalists apply kr sakte hai kyonki unhe news ke liye ek country se dusri country mei news purpose ke liye Jaana padta hai.


8> Immigrant Visa - Immigrant visa kisi dusri country ke dwara diya jaata hai jis country mei ap permanent settle hona chahte hai. Ab ye uss country pr depend krta hai ki vo apko visa de ya nhi.

9> On arrival visa - World mei kuch aisi bhi countries hai jo visa on arrival deti hai. for example ap Egypt mei hai aur India aana chahte hai to apko on arrival visa India ke liye Egypt se hi mil jayega.

10> H1B Visa - H1B visa ki zarorat apko tab padegi jab koi American company apko america mei job offer karegi. Maan lijiye ap india se hai aur apko kisi American company me manager ki job mili hai to apko uss company mei join hone se pehle apko unhe H1B Visa dikhana hoga. 

Zadatar IT professionals hi H1B Visa ka use
karte hai. Iss Visa ki help se ap six years tak America mei work kr sakte hai. Vaise to H1B visa sirf 3 years ke liye hi valid hota hai pr iski validity next 3 years ke liye bhi extend ki ja sakti hai. Six years ke baad ap American citizenship ke liye apply kr sakte hai jiske liye apko green card diya jata hai.

If in case apko green card ni diya jata hai to aisi condition mei apko for one year America se bahar jana padta hai and phir se after one year apko H1B Visa ke liye apply krna hota hai.

Eligibility criteria for H1B visa ? 

Ye H1B visa unhe diya jata hai jinke pass graduation ki degree ho , jiski minimum salary 60 thousands dollar matlab Indian currency mei 40 lakh rupees ho.

H1B Visa advantage ?

Iski sabse badi advantage ye hai ki after five years ap America ki permanent citizenship ke liye apply bhi kr sakte ho. H1B Visa ki demand itni zada hai ki har saal india me H1B visa lottery system ke zariye iss visa ko jari kiya jata hai.

H1B Visa ka sabse zada advantage Indians hi lete hai kyonki zadatar humne dekha hai ki jitni bhi multinational Americans companies hai usme Indians employees ki percentage kam se kam 35 - 40 percent hai.

America mei H1B visa ka protest ?

America mei bohot lambe samay se H1B visa ka protest ho rha hai kyonki Americans ka kehna hai ki bohot si Americans companies videshi workers ko kam salary mei job de rahi hai jisse waha ke local employees ko kafi loss uthana pad rha hai.

In the year 2015 , Disney company ke employees bhi H1B Visa ka protest kr rhe thai. Employees ka kehna tha ki company ne H1B visa holders ko unhi jagah kam salary me hire kiya tha aur unhe ye bhi kaha tha ki company छोड़ने se pehle apko new employees ko apna kaam sikhana hoga. Is visa ke galat इस्तेमाल ke liye bohot si Indians companies ko penalty bhi Deni padi thi .

In the year 2013 Indian IT professional company INFOSYS ko rupees 25 crores ka जुर्माना भरना पड़ा था|

Visa card apply kaise kare ?

Foreign visit ke liye visa bahut hi zada important hai. Jahan visa apko foreign jaane ki permission deta hai aur vahi passport apki personal identification aur citizenship ko show krta hai. Lekin aisi bhi kuch countries hai jo apko bina visa ke allow krti hai jaise

Nepal
Mauritius
Egypt
Indonesia
Bhutan
Seychelles
Fiji
Maldives
Thailand
Macau
Jordan
Hong kong
Cambodia


Uper di gayi countries mei visit karne ke liye apke pass sirf ek passport hona chahiye,visa ki koi zarurat nhi. Agar ap visa prapt karna chahte hai to ap indian embassy mei jakar apply kr sakte hai ya phir online website jaise Make My Trip , Yatra.com etc par bhi apply kr sakte hai . Agar ap U.S.A , U.K , Australia jaisi badi countries mei Jaana chahte hai to ap VFS global services jo ki ek private company hai se visa ke liye apply kr sakte hai .

Friends i hope meri iss post ko read karke ap samaj gaye honge ki visa kya hai ? Visa ki types ? aur visa apply kaise kare ? Agar visa se related apke pass bhi koi jankari hai to mujhe comment krke jaroor bataye.
Thank you.

टिप्पणियाँ

  1. Thanks for a wonderful share. Your article has proved your hard work and experience you have got in this field. Brilliant .i love it reading.visto per il Canada online

    जवाब देंहटाएं
  2. Reading your content was fascinating. Reading what you have to say is always fascinating. I appreciate your time and effort in doing this. It has been helpful to me, and I hope it will be helpful to other readers as well. h1b lottery results

    जवाब देंहटाएं

एक टिप्पणी भेजें

If you have any query please let me know

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Blogger blogspot post ka seo kaise kare(super secret trick)

कैसे हटाए google adsense Ad serving limit placed on your account

Instagram kaise banayega apko malamaal