Coronavirus ka background

Aajkal Coronavirus ki khabar sabhi news - channels , newspapers aur social - media sites ki headline ban chuki hai . Lekin kya aap  jaante hai ki ye novel corona virus akhir kya hai? Coronavirus ke karan aaj bahut se log apni zindagi se haath do baithe hai aur abhi bhi bahot se log iss virus se fight kar rahe hai . Duniya bhar mei iske wajah se lock down hai.  Aaj hum iss article mei apko novel corona virus kya hai , corona virus ke symptoms and corona virus se kaise bache ke baare mei batayenge.Sabse pehle corona virus ka background janege. 

Novel Coronavirus kya hai ? coronavirus ke symptoms ?
(coronavirus Background) 


Coronavirus ka background

Iss khatarnak virus ke background mei jaaye to mei apko batana chahunga ki iss virus ka relation ek aisi virus family se hai ki iske infection se apka nose continuously flow Karega , apka throat dry ho jayega , cough , fever aur breathe lene mei apko problems aa sakti hai . Aapki jaankari ke liye bta de ki Coronavirus sabse pehle china ke Wuhan city mei 2019 mei dekha gaya . Kyonki ye ek zoonotic disease hai (spread between animals and humans) . Iss kaaran iss virus ki entry dusri countries mei bhi ho rahi hai. According to Google data Corona virus 122  countries mei spread ho chuka hai. WHO ( world Health Organization ) ne isse pandemic means mahamari declare kar diya hai . Abhi tak iss khatarnak virus ko rokne ke liye koi bhi injection nahi banaya gaya hai.

Coronavirus ka effect share market par bhi padta dikhayi de raha hai , bohot si countries ke share market down chal rahe hai including INDIA . Till now in my knowledge is virus ke karan India mei total 2 deaths ho chuki hai. Yea virus India mei 2 old-aged persons par attack kar chuka hai . As a result an old man of 76 years age from karnataka died  and an old woman of 68 years from Delhi died . But abhi bhi bohot saare log iss virus ke circle mei aa chuke hai . Iss virus ke karan sabhi countries ki government ne educational institutions , gym , cinema halls, shopping malls  bhi close kar diye gaye hai.

Coronavirus tips in hindi 

  • Friends agar ap shop se milk ka packet laye to use paani se dhone ke baad hi khole. 
  • Non- vegetarain food ko hamesha achi tarah se paka kar khaye. 
  • छिलके wale fruits na khaye jaise grapes, mulberry, strawberry etc
  • Fruits and vegetables ko saaf paani se dhoye.
  • Sanitizer ka use baar baar kare, apne haath baar baar wash krte rahe.
  • Chai banate samay tulsi, adrak, ka use kare. 
  • Old age persons ka khaas dhyan rakhe because unka immune system zada acha nhi hota.
  • Social distance maintain rakhe. 
  • Lock down ka pura palan kare.
  • Yoga exercises kare. 
  • Apne mobile phones ko bhi sanitize kare. 

Coronavirus se kaise bache ?


Recently WHO(world health organization) ne sabhi countries ki government ko advisory de di hai (ek book jisme iss dangerous virus se bachav ke liye kuch important information WHO dwara share ki gayi hai) . Iss dangerous virus se bachne ke liye apko samay samay par soap or hand sanitizers ka use karna hoga , apne nose  aur mouth  ko mask se cover karna hoga , paani  peene ke liye hot water ka use karna hoga . Ek dusre ke saath hand shake na kare , ek dusre ke saath close contact na banaye , Shopping malls mei jaane se bache , apne smartphone ko use karne ke baad apne hands wash karna naa bhule kyonki ek research se mana gaya hai ki apke smartphone par ek toilet  seat se bhi zada germs hote hai . Meat , chicken , eggs ka sevan bhi na kare . Iss virus ka toh abhi tak koi bhi ilaj nahi nikal saka hai par agar ap uper di gayi kuch baaton ka dhyan rakhenge to ap zaroor apne ap ko iss virus se bacha sakte hai .
I Hope coronavirus ka background apko pta chal gya hoga and iski vaccine jaldi se jaldi tyaar ho jaaye aur mera ye article apko zaroor pasand aaya hoga , mujhe comment karke batana zaroor.
In the end I will say "May God ! Save us from this dreadful virus".

Comments

Post a Comment

If you have any query please let me know

Popular posts from this blog

Blogger blogspot post ka seo kaise kare(super secret trick)

कैसे हटाए google adsense Ad serving limit placed on your account

Instagram kaise banayega apko malamaal