Display, colour and design
To chaliye dosto ab hum roshni dalte hain iske kuch khaas features par.Vaise to iss phone ke bahut saare features hai par hum apka samay waste naa karte hue apko kuch iske khaas features ke baare me hi batayenge .Sabse pahle hum screen ki baat kare to iski screen 6.41 inch ki full HD display hai.Vivo ne iss phone ko do alag alag variants mein utara hai jo hai dazzling gold aur starry night. Iss phone ka design aur finishing isko ek premium look deti hai.Phone ke front me ap teardrop notch bhi dekh sakte hai.Iska screen resolution 2340x1080 hai.
Software and performance
security
Security ke mamle mein iss phone ka koi jawab nahi. Iss phone mein security ke liye do options hai. Pehla in-display fingerprint sensor hai, aur doosra Face Unlock sensor hai. Ye dono he sensor bade fast hai, par company ka kehna hai ki in- display fingerprint sensor zada secure hai.
Primary and secondary camera
Doosre smartphone ki tarah yeh bhi ek selfie phone hai.Iska Front Camera 25 megapixel ka hai aur rear camera 12+5 megapixel ka hai. IsKe rear camera mein dual lens ka use kiya gaya hai Jo dim light mein bhi achi photo click karta hai. isme front aur rear camera dono hi AI based hai. Dosto AI based camera vo camera hota hai Jisme camera scene ke hisab se photo click karta hai.
Sim tray
Dosto sim tray ki baat kare to isme do nano SIM card aur ek micro SD card hum Laga sakte hai.phone ke bottom wale hisse me 3.5 mm ka audio jack bhi apko dekhne ko milega
Battery performance
Iss phone ka battery backup 3400 mah hai aur iss phone ka charging time bahut kam hai, sirf 35 minutes mein he 70 percent battery Ko charge kar leti hai aur iska charger output deta hai 9.2 ampere aur 5.2 ampere.
My personal opinion
Dosto umeed hai apko The A-Z review of vivo v11 pro + in-display finger print sensor ke overall review ke bare me pata chal hi gaya hoga. Dosto meri opinion ki baat kare to mujhe iska battery backup kam Laga jo ki 3400 mAH hai aur iski inbuilt storage 64 GB bhi. Par phir bhi ye dusre android phones ko achi takkar dega