Sunday, March 15, 2020

Coronavirus ka background

Aajkal Coronavirus ki khabar sabhi news - channels , newspapers aur social - media sites ki headline ban chuki hai . Lekin kya aap  jaante hai ki ye novel corona virus akhir kya hai? Coronavirus ke karan aaj bahut se log apni zindagi se haath do baithe hai aur abhi bhi bahot se log iss virus se fight kar rahe hai . Duniya bhar mei iske wajah se lock down hai.  Aaj hum iss article mei apko novel corona virus kya hai , corona virus ke symptoms and corona virus se kaise bache ke baare mei batayenge.Sabse pehle corona virus ka background janege. 

Novel Coronavirus kya hai ? coronavirus ke symptoms ?
(coronavirus Background) 


Coronavirus ka background

Iss khatarnak virus ke background mei jaaye to mei apko batana chahunga ki iss virus ka relation ek aisi virus family se hai ki iske infection se apka nose continuously flow Karega , apka throat dry ho jayega , cough , fever aur breathe lene mei apko problems aa sakti hai . Aapki jaankari ke liye bta de ki Coronavirus sabse pehle china ke Wuhan city mei 2019 mei dekha gaya . Kyonki ye ek zoonotic disease hai (spread between animals and humans) . Iss kaaran iss virus ki entry dusri countries mei bhi ho rahi hai. According to Google data Corona virus 122  countries mei spread ho chuka hai. WHO ( world Health Organization ) ne isse pandemic means mahamari declare kar diya hai . Abhi tak iss khatarnak virus ko rokne ke liye koi bhi injection nahi banaya gaya hai.

Coronavirus ka effect share market par bhi padta dikhayi de raha hai , bohot si countries ke share market down chal rahe hai including INDIA . Till now in my knowledge is virus ke karan India mei total 2 deaths ho chuki hai. Yea virus India mei 2 old-aged persons par attack kar chuka hai . As a result an old man of 76 years age from karnataka died  and an old woman of 68 years from Delhi died . But abhi bhi bohot saare log iss virus ke circle mei aa chuke hai . Iss virus ke karan sabhi countries ki government ne educational institutions , gym , cinema halls, shopping malls  bhi close kar diye gaye hai.

Coronavirus tips in hindi 

  • Friends agar ap shop se milk ka packet laye to use paani se dhone ke baad hi khole. 
  • Non- vegetarain food ko hamesha achi tarah se paka kar khaye. 
  • छिलके wale fruits na khaye jaise grapes, mulberry, strawberry etc
  • Fruits and vegetables ko saaf paani se dhoye.
  • Sanitizer ka use baar baar kare, apne haath baar baar wash krte rahe.
  • Chai banate samay tulsi, adrak, ka use kare. 
  • Old age persons ka khaas dhyan rakhe because unka immune system zada acha nhi hota.
  • Social distance maintain rakhe. 
  • Lock down ka pura palan kare.
  • Yoga exercises kare. 
  • Apne mobile phones ko bhi sanitize kare. 

Coronavirus se kaise bache ?


Recently WHO(world health organization) ne sabhi countries ki government ko advisory de di hai (ek book jisme iss dangerous virus se bachav ke liye kuch important information WHO dwara share ki gayi hai) . Iss dangerous virus se bachne ke liye apko samay samay par soap or hand sanitizers ka use karna hoga , apne nose  aur mouth  ko mask se cover karna hoga , paani  peene ke liye hot water ka use karna hoga . Ek dusre ke saath hand shake na kare , ek dusre ke saath close contact na banaye , Shopping malls mei jaane se bache , apne smartphone ko use karne ke baad apne hands wash karna naa bhule kyonki ek research se mana gaya hai ki apke smartphone par ek toilet  seat se bhi zada germs hote hai . Meat , chicken , eggs ka sevan bhi na kare . Iss virus ka toh abhi tak koi bhi ilaj nahi nikal saka hai par agar ap uper di gayi kuch baaton ka dhyan rakhenge to ap zaroor apne ap ko iss virus se bacha sakte hai .
I Hope coronavirus ka background apko pta chal gya hoga and iski vaccine jaldi se jaldi tyaar ho jaaye aur mera ye article apko zaroor pasand aaya hoga , mujhe comment karke batana zaroor.
In the end I will say "May God ! Save us from this dreadful virus".

Monday, May 20, 2019

Visa card kya hai ? Visa ki types ? Visa apply kaise kare ?

Friends travelling kise nhi pasand aur agar apko kisi dusri country mei jaane ka offer mile to aap haan kehte bilkul bhi der nhi karenge. Par kya apko pta hai ki hum dusri country mei tabhi Jaa sakte hai jab hamare pass visa aur passport dono honge. Passport to hum aasani se bana sakte hai kyonki passport hume apni country se banana padta hai par visa banane mei hume thoda zada hard work karna padta hai . Friends mera ye article visa kya hai ? Visa ki types ? Visa apply kaise kare ? ko read karke aap visa's ki types se puri tarah se parichit ho jayenge.

Lekin aisi bahut saari countries hai Jahan aap bina visa ke bhi Jaa sakte hai par bina passport ke nhi Jaa sakte, kyonki passport apni country ke citizen ko diya jaata hai taki vo international travel kar sake aur apna passport ( as a identification ) dusre desh mei dikha sake , aur visa ek permission hoti hai jo dusri country apko apni country mei entry hone ki permission deti hai . Vaise toh visa ek document (letter) ya phir passport par lagi stamp bhi ho sakta hai par zadatar hum isse stamp ke roop mei hi dekhte hai. Visa hamesha dusra desh issue karta hai.

Visa card kya hai ?

              Visa card kya hai Visa ki types Visa apply kaise kare

Visa ki full form hai

V- visitors
I -international
S- stay
A-admission

Visa ek temporary document hai jo apko kisi dusre desh jaane ki permission deta hai Apko kisi dusre desh mei jaane ke liye. reason batana hota hai ki aap kis reason se dusri country mei Jaa rahe hai usi ke aadhar par apko visa milta hai. Apko apke reason ke basis par hi visa milta hai. Ek visa sirf ek hi person ke liye hota hai. On the basis of your reason visa different types ke hote hai. Ye aap par depend karta hai ki aap kitne time tak kisi dusre desh me reh sakte hai . Visa kuch time ke baad expire bhi ho jaata hai , usse renew bhi karwana padta hai . Maan lijiye apka visa 6 months ka hai aur apko 6 months se zada ho gaya hai to apko usse renew karwana padega , jitne time ke liye aap chahte hai.

Visa ki types ?

Visa 2 types ke hote hai

1   Non immigrant visa - means Temporary visa

2  Immigrant visa - means permanent visa vaise to visa total 185 types ke hote hai aur unme se kuch immigrant aur kuch non immigrant visa  hote hai. Par mei yahan apke saath kuch important types hi discuss karunga.


1 Transit visa
2 Tourist visa
3 Business visa
4 On- arrival visa
5 Partner visa
6 Working visa
7 Diplomatic visa
8 Journalist visa
9 Marriage visa
10 Immigrant visa

1> Transit visa - In this type of visa agar aapko kuch hours ke liye kisi dusri country mei Jaana hai to apko iss visa ki zarurat padegi . Ye visa sirf 72 hours ke liye hi valid hota hai aur apko iss visa ke liye apply karte samay return ticket bhi dikhani padti hai .

2> Tourist Visa - Agar aap tourist visa se kisi country mei enter hote hai to aap  uss country mei sirf ghoom- phir sakte hai aur koi bhi kaam nahi kar sakte .

3> Business Visa - Business word se hi aap samaj gaye honge ki ye visa kis kaam aata hai . Jee haan ye visa kisi dusri country mei business karne ke kaam aata hai. Iss visa ki validity 6 months to 10 years tak hoti hai. Iss vis mei permanent job bhi include ho sakti hai aur permanent job ke liye apko work visa bhi lena padta hai . Business visa apply karne se pehle apko business  documents bhi show karwane padte hai .

4> Student Visa - With the help of this visa ap kisi dusri country mei jakar higher studies kr sakte hai.

5> Diplomatic Visa - Ye visa sirf government work ke liye diplomatic persons ko hi diya jaata hai for example ministers , Ias officers , defence officials etc.

6> Marriage Visa - Agar ap kisi foreign girl se marriage karna chahte hai , to apko usse apni country mei bulane ke liye,apni country ki embassy mei jakar apki country ke visa ke liye apply karna hoga. For example marriage of Nick Jonas and Priyanka Chopra. I hope ap samaj hi gye honge .


7> Journalist visa - Ye visa sirf media persons aur journalists apply kr sakte hai kyonki unhe news ke liye ek country se dusri country mei news purpose ke liye Jaana padta hai.


8> Immigrant Visa - Immigrant visa kisi dusri country ke dwara diya jaata hai jis country mei ap permanent settle hona chahte hai. Ab ye uss country pr depend krta hai ki vo apko visa de ya nhi.

9> On arrival visa - World mei kuch aisi bhi countries hai jo visa on arrival deti hai. for example ap Egypt mei hai aur India aana chahte hai to apko on arrival visa India ke liye Egypt se hi mil jayega.

10> H1B Visa - H1B visa ki zarorat apko tab padegi jab koi American company apko america mei job offer karegi. Maan lijiye ap india se hai aur apko kisi American company me manager ki job mili hai to apko uss company mei join hone se pehle apko unhe H1B Visa dikhana hoga. 

Zadatar IT professionals hi H1B Visa ka use
karte hai. Iss Visa ki help se ap six years tak America mei work kr sakte hai. Vaise to H1B visa sirf 3 years ke liye hi valid hota hai pr iski validity next 3 years ke liye bhi extend ki ja sakti hai. Six years ke baad ap American citizenship ke liye apply kr sakte hai jiske liye apko green card diya jata hai.

If in case apko green card ni diya jata hai to aisi condition mei apko for one year America se bahar jana padta hai and phir se after one year apko H1B Visa ke liye apply krna hota hai.

Eligibility criteria for H1B visa ? 

Ye H1B visa unhe diya jata hai jinke pass graduation ki degree ho , jiski minimum salary 60 thousands dollar matlab Indian currency mei 40 lakh rupees ho.

H1B Visa advantage ?

Iski sabse badi advantage ye hai ki after five years ap America ki permanent citizenship ke liye apply bhi kr sakte ho. H1B Visa ki demand itni zada hai ki har saal india me H1B visa lottery system ke zariye iss visa ko jari kiya jata hai.

H1B Visa ka sabse zada advantage Indians hi lete hai kyonki zadatar humne dekha hai ki jitni bhi multinational Americans companies hai usme Indians employees ki percentage kam se kam 35 - 40 percent hai.

America mei H1B visa ka protest ?

America mei bohot lambe samay se H1B visa ka protest ho rha hai kyonki Americans ka kehna hai ki bohot si Americans companies videshi workers ko kam salary mei job de rahi hai jisse waha ke local employees ko kafi loss uthana pad rha hai.

In the year 2015 , Disney company ke employees bhi H1B Visa ka protest kr rhe thai. Employees ka kehna tha ki company ne H1B visa holders ko unhi jagah kam salary me hire kiya tha aur unhe ye bhi kaha tha ki company छोड़ने se pehle apko new employees ko apna kaam sikhana hoga. Is visa ke galat इस्तेमाल ke liye bohot si Indians companies ko penalty bhi Deni padi thi .

In the year 2013 Indian IT professional company INFOSYS ko rupees 25 crores ka जुर्माना भरना पड़ा था|

Visa card apply kaise kare ?

Foreign visit ke liye visa bahut hi zada important hai. Jahan visa apko foreign jaane ki permission deta hai aur vahi passport apki personal identification aur citizenship ko show krta hai. Lekin aisi bhi kuch countries hai jo apko bina visa ke allow krti hai jaise

Nepal
Mauritius
Egypt
Indonesia
Bhutan
Seychelles
Fiji
Maldives
Thailand
Macau
Jordan
Hong kong
Cambodia


Uper di gayi countries mei visit karne ke liye apke pass sirf ek passport hona chahiye,visa ki koi zarurat nhi. Agar ap visa prapt karna chahte hai to ap indian embassy mei jakar apply kr sakte hai ya phir online website jaise Make My Trip , Yatra.com etc par bhi apply kr sakte hai . Agar ap U.S.A , U.K , Australia jaisi badi countries mei Jaana chahte hai to ap VFS global services jo ki ek private company hai se visa ke liye apply kr sakte hai .

Friends i hope meri iss post ko read karke ap samaj gaye honge ki visa kya hai ? Visa ki types ? aur visa apply kaise kare ? Agar visa se related apke pass bhi koi jankari hai to mujhe comment krke jaroor bataye.
Thank you.

Friday, May 10, 2019

Asynchronous and synchronous google Adsence ads kya hai

Friends 'the real world' ki previous post mei maine apko bataya ki google Adsence kya hai aur work kaise karta hai . Mere previous post ko read krke ap google adsence se parichit ho hi gye honge. Friends aapne google adsence ke asynchronous and synchronous ad code ke bare me to suna hi hoga, aur agar nhi suna hai to mere iss article ko concentration ke saath read kijiye, par kya apko pta hai ki  Asynchronous and synchronous google Adsence ads kya hai aur inme se kon sa ad code use karne se ap apni earning ko increase kr sakte hai. Ye sab important information ko detail mei Janne ke liye apko meri post ko start se lekar end tak read karna hoga.

Asynchronous and synchronous google Adsence ads kya hai ?


Asynchronous and synchronous google Adsence ads kya hai

Vaise to in dono synchronous and asynchronous google adsence ads mei zada difference to nhi hai,dono hi ads par click hone par apko earning to honi hi hai lekin phir bhi ap samaj jaye ki inme Zameen aur aasman ka difference hai.

Also read
Asynchronous google adsence ad code kya hai ?

Sabse pehle mei asynchronous ad code par aata hu. Apni website or blog par iss google adsense ad code ka use karne se apke visitor ke samne sabhi ads ek saath show hongi aur saath hi apke visitors ko unke interest ke basis par ads dikhai jayengi. For example agar apka visitor USA se hai aur unhe football game pasand hai to apki website par football game se hi related advertisement show hongi . Ap ye maan lijiye ki asynchronous ad code , synchronous ad code se perfect hai aur isse website ki loading speed par bhi koi asar nhi padta hai .

Asynchronous ads ka matlab hota hai ki jab aapki website par ads load hoti hain, to wo content ke sath-sath simultaneously load hoti hain, matlab ki ad loading content loading ko block nahi karti. Isse website ke performance me sudhar hota hai, kyunki users ko content jaldi dikhayi deta hai, jabki ads background me load hoti hain. Isse user experience behtar hota hai.

Synchronous google adsence ad code kya hai ?

Friends in this code apke visitors ko apni pasand ki ads nhi dikhayi degi kyonki synchronous ad code use karne par google adsence apki post mei use kiye gaye keywords ke hisab se hi ads show karwayega, aise mei shyad apke visitors apki ads par click bhi naa kare, kyonki unhe apni choice ki ad nhi milegi . Synchronous  ad  code asynchronous ad code ki tarah ek saath  open nhi  hoti, inn  ad codes mei pehle ist ad code open hoga  then 2nd, 3rd and so on, depend ki apne total number of ads apne article mei kitne lagaye huye hai . Friends yaad rahe ap synchronous  ad code aur asynchronous ad code mei se koi ek ad code hi apne blog or website mei use kr sakte hai . Dono ka ek saath use na kare.

Synchronous Google Ads ek tarah ki online advertising service hai jahan par advertisements aapki website ke content ke sath-sath load hoti hain. Yani, jab koi aapki website par aata hai, to ads aur content dono ek sath load hote hain, aur ads load hone tak content dekhna ruk jata hai. Isse, users ko content dekhne mein thoda samay lag sakta hai, aur isse website performance me bhi kuch asar ho sakta hai, khas karke slow internet connections par. Synchronous ads ka use kiya jata hai, lekin asynchronous ads ki tulna mein, isme content ko block kiya jata hai jab tak ads puri tarah se load nahi ho jati.


Friends in the end of this post apko Asynchronous and Synchronous Google ad code kya hai ache se samaj mei aa gaya hoga aur ap apne blog or website mei kon sa ad code use karte hai mujhe comment karke batana zaroor. 
Thank you

Monday, April 29, 2019

Google Adsense Kya Hai Aur Work Kaise Karta Hai


Hello friends 'the real world' mei ap  sab  ka  swagat  hai.  Aaj hum apko iss article mei batayenge ki Google  Adsense  Kya    Hai   Aur Work  Kaise  Karta Hai ? Humne apko apni previous post mei bataya ki google adsence account ko kam samay mei approved kaise karwaye. Friends Jahan online paise kamane ki baat aati hai waha google adsense ka naam sabse pehle liya jaata hai. Friends meri ye post padhkar aap adsence se online bahut saara  paisa  kama  sakte  hai.

Google AdSense kya hai?


Google Adsense Kya Hai Aur Work Kaise Karta Hai

Google adsence ek advertisement network  hai  jiski  help  se bloggers aur youtubers online paisa kama sakte hai. Friends maine apni sabhi blog post mei google adsence ki help se hi ads lagayi hai. Ap meri iss post ke saath saath dusri posts bhi dekh sakte hai, apko google ke dwara di gayi ads dikgayi degi.  Vaise toh internet mei apko paisa kamane ke liye bahut saare ad networks aur websites mil jayengi par google adsense sabse famous and trusted advertising network hai.

Google Adsense work kaise karta hai?

Google Adsense google ke dwara banaya gaya ad network hai. Google ko bahut saari companies apne products ki promotion ke liye paisa deti hai aur google un companies ke  product  ki  ad banakar blog, websites aur youtube par dikhata hai jisse bloggers aur youtubers ki earning hoti hai.

Google Adsense Mei Account Kaise Banaye?

Google Adsense mei apko account banane ke liye sabse pehle gmail me account banana hoga.kyonki adsence google ka product hai isliye ye gmail se hi chalega. Dusre kisi aur search engine ke domain se nhi chalega.

Google Adsense Se Paisa Kaise Kamaye?

Google Adsense se earning karne ke liye sabse se pehle apko apni website ya blog  ko  google adsense se connect karna hoga, uske baad hi ap isse paisa kama sakte hai. Adsence account mei paisa kisi visitor dwara apki website ki ad par click karne par hi aata hai.Yaad rahe adsence se connect karne se pehle apke blog or website par good organic traffic hona chahiye aur 25-40 articles hone chahiye. Google Adsense  apke website or blog  ko verify karne ke baad hi apko approval dega, approval mei apko minimum one week aur maximum six months bhi lag sakte hai, ye apke blog aur uske content par depend karega.

Google Adsense payment kaise send karta hai?

Friends ap sab soch rahe honge ki apko adsence se payment kitne samay baad mileygi. Apke google adsense account mei dollor 10 hone par apke address par google 'address verification' ke liye ek letter send karta hai jisme apko ek 6 digit pin code diya jaata hai aur iss pin code ko apko apne adsence account me enter karna hota hai. Yaad rahe without address verification ke google payment send nhi karta isliye address ko verify karna ek important step hai.Jab apke account mei dollor 100 ho jaaye to google cheque dwara ya apke bank account mei online payment send kr deta hai. Apke adsence account mei dollor 100 se kam payment hone pr google apko kisi bhi prakar ki koi payment send nhi karega. Google adsense apki payment ka kuch percent apne pass bhi rakhta hai.

Google Adsense Par Account Kitne Paise Mei Create Hota Hai

Friends google adsense par account free mei banaya jaata hai, iske liye sirf apke pass ek blog or website ka hona zarori hai.

Conclusion
Friends I hope apko Google Adsense Kya Hai Aur Work Kaise Karta Hai ? ache se samaj mei aa gya hoga.Kyonki adsence ek bahut bada advertising network hai isliye maine apko google adsence ke baare me short mei hi bataya hai.

Saturday, April 6, 2019

Janiye EVM(electronic voting machine) aur uske kaam karne ke tarike ko


Dosto aap sab ne EVM(electronic voting machine) ke bare me to suna hi hoga. Vote to ap sabhi dete hi honge aur apko yeh bhi pta hoga ki vote dene ke liye apki minimum age 18 honi chahiye. Vote dete samay apne EVM ka use to kiya hi hoga to chaliye jaante hai.
EVM kya hai ? kaise kaam krti hai ?
EVM  ka  avishkaar  kisne kiya ?
India ki kis state ne Sabse pehle EVM ka use kiya ?
Kya electronic voting machine hack ho sakti hai ?
Dosto in sab questions ke answer apko mera ye article padkar mil sakte hai , aur  iss article mei hum   electronic voting machine ke kaam karne ke tarike ko bhi vistaar se jaanege. Ap sab ko yaad hoga ki aaj se kuch dino baad 2019 Loksabha elections hai , jiska bahut se voters aur political parties  bhi  hissa banne Jaa rahe hai aur aise me apka ek kimti vote   apko   ek    acchi  aur mazboot   sarkar banane  me  help  karega. Iss saal election commission of India (ECI) ne latest technology ki voting machine ka use karne ke bare me socha hai.

History of EVM

Friends kuch years pehle India ki population itni zada nhi thi  aur jb hum vote dene jaaya karte  the to hamre vote pages par liye jaate the aur unhe result se kuch dino pehle count kiya jaata tha taki hume winner ka pta chal sake but aaj population itni zada ho gayi hai ki pages par vote count karna possible nhi hai, isi karan electronic voting machine banayi gayi taki iss lengthy process ko roka jaa sake aur hamare papers bhi save ho jaaye. EVM ki full form electronic voting machine hai.

EVM ka avishkaar 1980 mei M.B Haneefa ne kiya tha. EVM machine ka sabse pehle use  India ki Kerela state ke polling booth mei hua aur uske baad iska experiment Delhi , Madhya pradesh , Rajasthan mei bhi kiya gaya. In the year 1999  Goa general elections mei bhi evm ka use kiya gaya. Election commission of India ne year 2004 se isse elections mei use karne ka decision liya. India mei ye machines Bangalore ki BEL (Bharat electronics limited) aur Hyderabad ki ECIL (electronics corporation of India limited).

Janiye EVM(electronic voting machine) aur uske kaam karne ke tarike ko



Janiye EVM electronic voting machine aur uske kaam karne ke tarike ko

Dosto EVM ek aisi machine hai jisme ap apna kimti vote apni marzi se kisi bhi political party ke candidate ko de sakte ho. Iss machine ke right side mei apko sabhi political parties ke symbols aur unke representative  dikhayi denge aur un sabhi symbols ke saath hi apko buttons bhi mil jayenge.Inhi buttons ki help se ap kisi bhi political party ke representative ko vote de sakte hai. Dosto agar aap kisi Ko bhi vote nhi dena chahte to aap NOTA(none of the above)button bhi press kr sakte hai. EVM mei do units hote hai

1 control unit
2 Balloting unit Control

Balloting unit Control unit aur balloting unit aapas me ek 5m wire se connect hote hai. Isme koi bhi wireless communication nhi hota hai. Jab bhi koi voter apna vote dene ke liye button ko press karta hai to uss samay machine beep ki awaz karti hai aur apka vote count ho jaata hai. Issi ke saath machine apne aap ko lock bhi kr leti hai. Agar aap dusre kisi representative ko vote daalne ki try karoge to aap usse vote  daal nhi  paoge kyunki har naye vote par EVM new ballot number ki demand krti hai. Iska simple sa meaning hai ki ek person ek samay mei ek hi vote de sakta hai. Ye machine one person one vote ke principal par kaam krti hai.

EVM ki control unit booth presiding officer/ polling officer ke pass hoti hai . Ye uss ballot markd button ko control karte hai. Ek baar vote dene par ve uss control unit ke close button ko press kar dete hai aur evm lock ho jaata hai. Balloting section ko control unit se separate kr diya jaata hai aur votes ko record kr diya jaata hai balloting unit ki help se. Jab polling ka process pure tarike se khatam ho jaata hai to presiding officer polling agents ko votes ki  account details deta hai aur usi ke basis par votes counting kari jaati hai.

In case polling agent se koi bhi galti ho jaati hai to usse vo presiding officer ko bta deta hai. Vaise evm par ek result button bhi hota hai jise result direct  dekha Jaa sakta hai pr iss button ko hide karke rakha jaata hai aur iss button ko press karne se pehle polling booth ke close button ko press kiya jaata hai. Iss tarah se voting ka "the end" kiya jaata hai.Result button ko result se kuch dino pehle press kiya jaata hai vo bhi sabhi  government officers ke samne. So friends iss tarah counting ka pura process khatam hota hai aur last mei winner declare kiya jaata hai.

Features of EVM

1 EVM mei delete option ya delete button nhi hota.

2 EVM ke microprocessor ko sirf ek baar hi program kiya jaata hai. Jab isme sabhi votes record ho jaate hai to iske data ko edit nhi kiya Jaa sakta aur naa hi iske data mei koi changes laayi Jaa sakti hai.

3 EVM ki capacity ke anusaar ek machine mei 3840 votes hi record kiye Jaa sakte hai. Ek machine minimum 16 aur maximum 64 voters ko handle kr sakti hai. 64 voters se zada hone par polling ke liye conventional ballot paper/ box method ka bhi use kiya jaata hai. iss method mei maximum 4 EVM ko parellel mei connect Kiya jaata hai.

4 Evm battery dwara operate hoti hai isliye isse remote area mei bhi le jakar use kiya jaa sakte hai.

Kya EVM hack ho sakti hai ?

Agar mei iss sawal ka jawab du to evm hack hona naa ke brabar hai kyonki iss machine ki security ka government aur isse banane wali companies iska Vishesh roop se dyan rakhti hai.

VVPT kya hai ?

VVPT ki full form hai voter verified paper audit trail . Dosto ye ek machine hai jo saal 2019 me EVM ke saath connect kari jayegi taki apko ek slip as a proof mil sake jo apko apke vote ki jaankari degi.  Iss saal  VVPT ka use karna ek healthy voting saabit hoga.

Conclusion

Dosto apko meri ye post (Janiye EVM (electronic voting machine) aur uske kaam karne ke tarike ko) kaisi lagi mujhe comment karke btana zaroor aur agar apke pass evm se related koi bhi news hai to muje bhi bataye.Agar apko mera article pasand aaya ho to isse apne friends ya relatives ke saath share zaroor kare.
 Thank you..

Wednesday, March 13, 2019

Google AdSense account Ko Kam samay me approved kaise karwaye


Google AdSense account Ko Kam samay me approved kaise karwaye

Hum sabhi jaante hai ki adsence se paise kamane ka sapna har kisi ka hota hai. Agar aap ek blogger hai aur aap apne blog ko regularly update karte hai par apka google adsence par account approved nahi hua hai to isse bade dukh ki baat kya ho sakti hai. Friends mei apko ek baat bta du ki adsence google ka product hai aur agar aap chahte hai ki apka adsence approved ho to aapko adsence ki kuch policies terms and conditions ko follow karna hoga. In this article mei apko batyunga ki Kam samay me google adsence account ko kaise approved karwaya jaata hai.
Iss article me mei apko kuch aasan se steps sikhayunga, jinhe follow karke aap apne adsence account ko approved karwa sakte hai. Dekha jaaye to India me adsence account ko approved karwana ek difficult task hai. Par agar aap mere bataye gaye  steps ko follow kare to aap bhi apna adsence approved karwa sakte hai aur lakhon earn kar sakte hai.

Google AdSense Account Ko Kam Samay Me Approved Kaise Karwaye

1 Adsence Ki Terms And Conditions Ko Dhyan Se Read Kare

Friends hume adsence ki policies ko har month read karna chahiye kyonki adsence policies time to time change hoti hi rehti hai.

2 Blog Post Me Kisi Dusre Blog Ki Copy Karna Avoid Kare

Hamesha koshish kare ki blog apne words me likhe.kisi bhi dusre blogger ki copy naa kare,kyonki aisa karne se apka google adsence account kabhi approved nhi ho payega. Apni common sence se articles ko likhe.Copy karne se Search engine bhi apka article show nhi karwayega aur apke visitors bhi decrease hote jayenge.Copyright strike hone ke bhi chances ho sakte hai.

3 Blog Me Hamesha Unique Article Likhe And Minimum 40- 50 Post Daale

Dosto adsence ko apne blogger account se connect karne se pehle aap usme 40-50 badiya article likhe. Aap hamesha yahi koshish kare ki article aisa ho jo search engine me pehle se naa ho. Aisa karne se  apke article ki ranking search engine me acchi hogi.

4 Blogger Me Adsence Supported Templates Ka Use Kare

Blogger template bhi ek important role play karti hai apke adsence approval par.Hamesha blogger template ka hi use kare,mera matlab hai kisi dusri website se template download karke upload naa kare.Template simple, mobile friendly aur fast loading wala hona chahiye.Template ko simple banaye usme zada editing naa kare.

5 Apne Blog Me 2-3 Photos Se Zada Naa 
Lagaye.

Photos ke bare me mei yahi kahunga ki aap sirf 2-3 photos ka hi use kare apne blog mei, kyonki aisa karne se apka page jaldi open hoga. Zada images ka use karne se apko adsence approved karwana mei bahut si problems ka samna karna padh sakta hai.

6 Adsence Ki Ads Par Unnecessarily Click Naa Kare

Dosto agar aap apne adsence ads par khud click karte hai to aisa karne par ap adsence ki terms and conditions ke against ho jaate hai. Bar bar apni ads pr click krne par apka  adsence account hamesha ke liye block ho sakta hai.

7 Important Pages Ko Apne Blog Me Add Kare

Important pages se mera matlab
About us
Privacy Policy
Disclaimer
Contact us

About us page me ap apni site ko acchi tarah se describe kare,apki site kis topic par hai. Iska advantage ye hoga ki apke followers apko bahut ache se jaan payenge.
Privacy policy page me hum visitors ki information lete hai.Jab hum apne visitors ko newsletter or ebook me signin karwate hai tab hum unki kuch information lete hai jaise unka name,email-id etc  taki future me hum unhe newsletter provide kr sake.
Disclaimer page isliye important hai kyonki isme hum apni website ki terms and conditions ko declare karte hai. With the help of this page hamari website ko isse suraksha milti hai.
Disclaimer page mei hume ye likhna hota hai ki humne apni website me jo bhi information di hai, usse visitor apni marzi se padh raha hai.Disclaimer page ka bhi bahut  bada important role hai adsence approval mei.
contact us page me ap apni e-mail id aur apne mobile number ko add kare taki zaroorat padne par apke visitors apse contact kar sake.

8. Apni Website Or Blog Ko Google Analytics Se Connect Kare

Google analytics me sabse pehle apko apna account banana hoga aur phir uske baad apko apni website ko usse connect karna hoga.Aisa karne se ye hoga ki aapko google adsence account bhi approve ho jayega because google analytics is also a Google product.

9. Apni Site Ka XML Sitemap Banaye

XML sitemap ka kaam apki website ko chote code me change karke google ko dikhata hai.

 10. Apke Blog Website Ki Acchi Traffic Ho

Friends kon nhi chahta ki apki website traffic se bhari ho.Par dhyan rakhe ki apke blog par minimum 1000 visitors per day hone par hi adsence ke liye apply kare.

11. Domain Purchase Kare

Agar aap chahte hai ki apka adsence within few days me hi approve ho jaaye to aap apna khud ka domain kharide usse apka adsence kuch dino me hi approve ho jayega. Blogger domain ki baat ki jaaye to ye ek free domain hai ie (Blogspot domain).

12. Robot.txt File Ko Enable Kare

Robot.txt file enable karne se kisi bhi type ki junk file apke blog ke saath add nahi hogi.Ye tabhi hoga jab aap isse enable karenge ,nahi to junk files add hoti jayengi aur adsence ko apke website ke related problems aati rahegi.

13. Use Adsence Supported Language

Meri knowledge ke anusaar adsence total 45-50 languages hi support karta hai. So friends ap apne blog mei language use karne se pehle check kr le ki adsence kon kon si language support karta hai.
Number of languages supported by adsence.
  • Arabic
  • Bengali
  • Bulgarian
  • Catalan
  • Chinese (simplified)
  • Chinese (traditional)
  • Croatian
  • Czech
  • Danish
  • Dutch
  • English
  • Estonian *
  • Filipino
  • Finnish
  • French
  • German
  • Greek
  • Hebrew
  • Hindi
  • Hungarian
  • Indonesian
  • Italian
  • Japanese
  • Korean
  • Latvian
  • Lithuanian
  • Malay
  • Norwegian
  • Polish
  • Portuguese
  • Romanian
  • Russian
  • Serbian
  • Slovak
  • Slovenian *
  • Spanish
  • Spanish (Latin American)
  • Swedish
  • Tamil
  • Telugu
  • Thai
  • Turkish
  • Ukrainian
  • Urdu
  • Vietnamese

14. Apka Blog Dusre Search Engines Se Bhi Connect Ho

Dusre search engine ki baat kare jaise Google, yahoo,Bing etc se agar aap apni website ko connect karte hai to adsence ko ye pta chal jayega ki apki website fake nhi hai bulky genuine hai aur iss karan adsence apko approval bhi de sakta hai.
In the end mei apse ye kehna chahta hu ki agar aap apne Google adsence account ko kam samay me approve karwana chahte hai to aap mere btaye gaye steps ko follow kare aur unlimited earning kare.
HAPPY BLOGGING!

Thursday, October 4, 2018

Blogger blogspot post ka seo kaise kare(super secret trick)


Blogger blogspot post ka seo kaise kare super secret trick

Dear bloggers seo ka meaning hai search engine optimisation.Friends har kisi ka dream hota hai ki apne blog ya website ki post ko google ke first page par rank karwana. Par ye tab hi possible hoga jab aap ek quality content se bhari hui blog post ko likhoge kyunki koi bhi post vo chahe wordpress me ho ya phir blogger me seo ke karan hi google mein rank karti hai. Friends mein ek blogger hoon aur mein aapke blog ki post ka seo karwane mein puri help karunga.Search engine optimisation ke karan hi hamare blog par search engine se organic traffic aata hai.
Friends mera ye article padh kar aapke mind mein ek question to zarur hi aa raha hoga ki aakhir blog post Google ya other search engine mein rank kaise karti hai? To iska ek simple sa jawab hai"search engine robots". search engine robots hi hamari blog post ke content ko search engine mein Index karwate hai. Friends iss post me simple hum Blogger blogspot post ka seo kaise kare ke bare me baat karenge.


यह भी पढ़ें|











On-page SEO क्या होता है ?


Off-page SEO सीखने से पहले हम आपको थोड़ा on-page SEO से introduce करवाते हैं| on-page SEO   ही आपके website article को optimize करके Google के first page के search result मैं लाता है। on-page SEO को on-site SEO भी कहा जाता है|इसमें आपको blog or website के title, meta tag,  search description, header,permalink और images को optimize करना होता है जिससे कि आपका blog SEO friendly भी बन जाता है |Friends यदि आप on-page SEO के बारे में विशेष जानकारी प्राप्त करना चाहते हैं तो मेरी नीचे दी गई  पोस्ट को ध्यान से पढ़ें|

Blogger blogspot post ka seo kaise kare(super secret trick)

Friends sabse pehle aap apne gmail account se blogger account mein login ho jaye.Login hone ke baad aapko blogger dashboard me setting option mei drop down menu mei search preferences ka option dikhayi dega, uspar click kare.Lekin friends jaise hi aap iss option par click karenge to apke samne Crawlers and indexing ke niche ek warning dikayi degi.

  • Note --->"Warning! Use with caution Incorrect use of these features can result in your blog being ignored by search engines".Iss line ko read karne ke baad aap sab kuch acche se samajh hi gaye honge.Iska seedha matlab hai ki agar aap custom robots header tags mei diye gaye options ka use proper tarike se nahi karoge to apki post search engine me index hone ki wajaye de-index bhi ho sakti hai.

Blogger blogspot post ka seo kaise kare super secret trick


Next aap custom robots header tag option par click kare. Then aapke Samne enable custom robots header tag ka option open ho jayega .Ab aap yahan yes par click kare. Jaise hi aap yes par click Karenge toh apko kuch naye options dikhayi denge jinka naam homepage,archive and search pages, default for post and pages etc hai .Agar aap inn sabhi options ke niche dekhenge to apko kuch aur naye sub options dekhne ko milenge , unki settings aap niche di gayi image ko dekhkar kar sakte hai.Ab apko jo bhi options dikhayi de rahe hai vo sabhi advanced seo setting ke hi hai.Meri aap se request hai ki aap inn features ka use correct tarike se kare.kyonki inhone clearly note mei mention Kiya hai.

Custom robots header tags options ki advanced settings kaise kare
Friends ek baat me yahan apko batana chahunga ki custom robots header tags ki setting jo maine apko uper di gayi image me batayi,ye setting sabhi blog post ke liye default setting hi rahegi.Ye settings sabhi blog post ke liye ek setting hai.

Blogger blogspot post ka seo kaise kare super secret trick
    1.All:
    All tag ko enable karne ka fayda ye hoga ki search robot apki site ko comfortable hokar search engine me index karega.waise to iski setting default hi rehti hai matlab agar aap iss option ko enable naa bhi karoge to bhi ye by default enable hi rahega.
    2.Noindex:
    Friends No index tag ka meaning dekh kar aap samaj gaye honge ki iska kya meaning ho sakta hai.Iss option mei search engine robot apke page ko search engine mei index nahi karega.
    3.None:
    None tag ka use aap affiliate links ya outbound links mei kar sakte hai.Agar koi blogger apke blog mei backlink banane ki koshish karta hai without apki permission ke.To aap iss tag ka use karke usey rok sakte hai.
    4.Noarchive:
    Jab bhi search engine par apki site unavailable hoti hai to visitor apki cached file par click karke apki site visit kar Sakta hai.kyonki search engine hanesha apki site ka cache data apne pass store karke rakhta hai.Agar ap noarchive open ko enable karna chahte hai to yes kare nahi to no par click kare.
    5.Noodp:
    Noodp tag ka use hum open directory project se apni post ko delete karne ke liye karte hai.sabhi bloggers iss option ko hamesha enable hi karte hai.kyonki isse apki sari posts search engine mei sahi tarike se result mei aayengi.
    6.nosnippet:
    Nosnippet tag ka use hum tab karenge jab hume search engine mei apni post ke title ke niche description show nahi karwana hai.description matlab apni full blog post ko ek small paragraph me explain karna.
    7.noimageindex:
    Agar aap apne sabhi blog post images ko search engine mei index nahi karwana chahte to aap iss noimageindex tag ka use kar sakte ho.Ye tag use karne ke baad apki sabhi post images search result mei show nahi karegi.
    8.notranslate:
    Friends notranslate tag ka use aap apne page ko translate naa karne ke liye kar sakte hai.Agar aap chahte hai page ko translate karna to notranslate tag ke samne tick mare nahi to cross.
    9.Nofollow:
    Agar aap iss option ko enable karte ho to search engine apke post update ko follow nahi karega.for example-- maine apna post title change Kiya to search engine usse index nahi karega mujhe Google webmaster tool me jaakar ussey phir se submit karna padega agar me iss nofollow tag ko enable karta hu.
    10.unavailable_after:
    In this unavailable_after tag mei apko batana chahunga ki agar aap search engine par apni post kuch time ke liye hi dikhana chahte hai to aap uss post ke liye custom date and time set kar de.post apki setting ke anusar apne aap search engine se delete ho jayegi.
Custom robots tags ki setting ke baare mei jaane

Agar mei custom robots tags option ki setting ki baat karu jo apko right side par last option dikhayi dega,iss option mei aap har post me apni marzi se tag change kar sakte ho.Agar aap default tag set karte hai to sabse best hai.Aap niche di gayi image ko dekh sakte hai.

Blogger blogspot post ka seo kaise kare super secret trick
    • Friends agar apki site WordPress mei hai to aap yoast seo WordPress plugin ka use kar sakte hai.Ye google blogger ke custom robots tags ki tarah same hai.In the end mei apse kehna chahta hu ki maine apko iss post mei Custom robots header tags options ki advanced settings aur blogger blogspot post ka seo kaise kare ke baare mei useful information batayi hai.I hope apko meri ye post acchi lagi hogi. Agar apke pass iss post se related koi aur bhi zarori information hogi to mujhe comment box mei comment karke zaroor bataye